Wednesday, May 7, 2008

Har khushi se khubsurat...

Har khushi se khubsurat teri sham kardo,
Apna pyaar aur dosti tere naam kardo,

Miljaye agar dobara ye zindagi,
To har bar ye zindagi tere naam kardo.

Tuesday, May 6, 2008

main udaas rasta hoon....

Main udaas rasta hoon shaam ka,

Mujhay aahaton ki talaash hai,

Yeh sitaray hain sab bujhay bujhay,

Mujhay jugnuon ki talaash hai,

Har khushi hay mujh say khafa khafa,

Mujhay zindagi ki talaash hai,

meri pyaas mein woh talab nahi,

Mujhay tishnagi ki talaash hai,

ik hajoom sa hai rawaan dawaan,

Mujhay dooston ki talaash hai

Saturday, May 3, 2008

Ab kia likhen...

Ab kia likhein hum kaghaz par

ab likhnay ko kia baaki hai

ek dil tha woh bhi tot gaya ab totnay ko kya baaki hai

ek shakhs ko hum nay chaha tha

ek reit par naqsh banaya tha

woh reit to kab ki bikhar gayi woh naqsh kahan ab baqi hai

hum jin ko apni nazmon ka unwaan banaya kartay thay

lafzon ka bana kay taj mahal kaghaz pay sajaya kartay thay

woh akela hum ko chhor gaya sab rishton say moon mor gaya

ab rastay saray sunay hain woh pyar kahan ab baaqi hai

ab kya likhain hum kaghaz par ab likhnay ko kya baaqi hai

Kabhi yoon bhi ho...

kabhi yoon bhi ho darya ka sahil ho aur tum aao

kabhi yoon bhi pooray chand ki raat ho aur tum aao

kabhi yoon bhi ho koi na meray saath ho aur tum aao

kabhi yoon bhi ho meray dil ki tarah milnay ko tumhara dil bhi tarsay aur tum aao

kabhi yoon bhi to ho.

Hum har baat ko ....

Hum Har baat ko Khuda par chhor detay hain

Totay na dil kisi ka dil apna torr detay hain

Hum bhi insaan hain pathar to nahin

Jo dost Har tufan ko hamari janib morr detay hain.


Friday, May 2, 2008

Udaas lamhon ka...

Udaas lamhon ka na koi malaal rakhna

tufan mein bhi wajood sambhaal rakhna

kisi kay liye shart-e-zindagi tum ho

kisi ki khatir hi apna khayal rakhna



Kal raat urr rahay thay...

Kal raat urr rahay thay sitaray hawa kay saath

aur mein udas betha tha apnay KHUDA kay saath

Ya to qaboliyat ka tareeqa sikha mujhay

Ya meray dil ko baandh day apni raza kay saath